Dil yeh kahta hay
Eid tum ne khub manayi ho gi
Bhula kar pardees ko
Mehfil eish bhi sajayi ho gi
Bichre huwe is badnaseeb ka
Khayaal bhi aya ho ga
Jab maang tum ne apni sitaroon
Se sajayi ho gi
Chand lamhe mazi ki yaad main
Khoye to ho ge
Jab aiyne ko tum ne shakal apni
Dekhayi ho gi
Do aansuon ne bhi rukh_e_zeba ko
Chuma to ho ga
Guzri huy yaad Eid jab tum ko
Ayi ho gi
Jab kahi apnon ko tum ne bhi
Milte to dekha ho ga
Tasawour main tasveer tum ne
Bhi banayi ho gi
Eid ka din hay
Khushyon main gum kar lo khud ko
Yeh samjh kar k is main bhi
Bahlayi ho gi
Tum khush raho ge idar bhi ho ga
Sukh naseeb
Warna samjh lo yeh aankh
Yahan bhi bhar ayi ho gi
Kismat ko jo huwa manzoor
To ho ga kabhi wasaal Eid
Is din chaand sitaroon ne bhi
Mehfil sajayi ho gi
Hans kar zara ab tasawour
Feda main chale aoo
Jab samjh lo k ab main ne
aankh melayi ho gi
Kismat Ka Dastoor Nirala Hota Hay : Shayari
Kat ti naheen hay gham ki raat
A k thair gayi hay kiya
Nind to khair so gayi
Mout bhi mar gayi hay kiya
Jalte hain armaan
Mera dil rota hay
Kismat ka dastoor
Nirala hota hay
Koun mere tuute dil ki
Faryaad sune
Aaj meri taqdeer ka
Maalik sota hay
Ayi asi moj k
Sahil chuut gaya
Warna apni kashti
Koun dubota hay
Kismat ka dastoor
Nirala hota hay
Labels: Hindi Ghazal, Hindi SMS, Shayari
posted by Rahul at 9/21/2008 addthis
20 September 2008
Tu Kabhi Khud Ko : Hindi Ghazal
Aankh se door na ho dil se utar jaayega,
Waqt ka kya hai guzarta hai guzar jayega,
Itna maayus na ho Khilvat-e-Gam se apne,
Tu kabhi Khud ko bhi dekhega to Dar jaayega,
Tum sar-e-raah-e-vafaa dekhte reh jaaoge,
Aur vo baam-e-rafaaqat se utar jayega,
Zindagi teri aata hai to ye jaanevaala,
Teri bakhshish teri dehaliz pe dhar jayega,
Dubate Dubate kashti to ochhaalaa de duun,
Main nahi koi to saahil pe utar jaayega,
Zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa,
Zaalim ab ke bhi na royega to mar jayega..
Labels: Hindi Ghazal, Hindi SMS
posted by Rahul at 9/20/2008 addthis
Tanha Bana Diya : - Shayari
Sabse chhupa kar jo wo dard muskura diya,
Usiki hansi ne to aaj mujhe rula diya,
Lehje se uth raha tha har ek dard ka dhuaa,
Chehra bata raha tha k sab kuch gawa diya,
Aawaz mein therao tha aankhon mein nami thi,
Or keh raha tha k sab kuch bhula diya,
Khud bhi wo humse bichhad kar adhura sa hogaya,
Mujhko bhi itne logo mein tanha bana diya....
Labels: Hindi Ghazal, Hindi Shayari, Hindi SMS, Shayari
posted by Rahul at 9/20/2008 addthis
16 September 2008
Love 'n' Romantic Shayari
kal fursat naa mili to kya hoga
itni mohallat naa mili to kya hoga
roz kehte ho kal milenge kal milenge
kal aakhein naa khuli to kya hoga
jagaya unhone aisa k aajtak bhi so naa sake
rulaya unhone aisa k sab k samne ro naa sake
jaane kya baat thee un mein
jabse maanaa unhe aapna tab se kisi k ho na sake
dariya wafaoo ka kabhi sukta nahi
mohabbat mein insaan kabhi jhukta nahi
hum chup hai kisi ki khushi k liye
aur wo sochte hai k dil humara dukta nahi
yu na har baat yaaron se poocho
jo baat raaz ki ho isharo se poocho
lehro se khelna to samander ka khel hai
lagti hai choot kaise kinaro se poocho
Tumari yad jab bhi ayi : Sad SMS
kabhi roke muskarye kabhi muskurakar roye
tumari yad jab bhi ayi tume bhula ke roye
ek tumara hi nam tha jise hazar bar likha
jitna likh kar khush huain usse jyada
mita kar roye..
¸.·´¨) ¸.·*¨)
(¸.·´ (¸.·´ .·´
(´¸.·*yours forever.·*·.¸.´¯`>..........
Sham se pahle ana
Dhoup sari dhal rahi ho
Phool sare khil gaye hoon
Mousam sare le ana
Phir wohi din aye hain
Jane kiya le aye hain
Jewan mera
Sara tera
Jina to ek bahana hay
Aik tere a jane se
Mil rahe hain zamane se
Jewan mera
Sara tera
Duur phir kiya jana hay
Sham se pahle ana
Dhoup sari dhal rahi ho
Phool sare khil gaye hoon
Mousam sare le ana
Poocho na us kaagaz se jis pe hum dil ke bayaan likhte hain,
Tanhayi mein beeti baatein tamam likhte hain,
Wo kalam bhi deewani ho gayi….
Jis se hum aapka naam likhte hain!
Ek duje pe martety the,
Hum pyar ki baaten karten the,
Khabo me khoye rehtey the,
Baho me soye rehtey the
Hum ashiq the deewane the
Is duniya se beghane tha
Yeh un dino ki baat hey,
Jab hum pagal pagal phirtey the.
Yeh un dino ki baat hey,
Jiab hum pagal pagal phirtey the..
Kehtey the kuch suntey the;
Hum phul wafa k chumtey the.
Kabhi hastey the kabhi rotey the,
Hum Yaar juda jab hotey the,
Hume sab kuch acha lagta tha,
Afsana sacha lagta tha,
Yeh un dino ki baat hey,
Jab hum pagal pagal phirtey the.
Yeh un dino ki baat hey,
Jab hum pagal pagal phirtey the.
Tahai me jab miltey the,
Dil me hulchul si hoty thi;
Hum dono jagtey rehtey the.
Jab sari duniya soty thi,
Jab yaad tumhari aaty thi,
chahat k nagme gatey the,
bechain deewani dhadkan ko.
Behlatey the samjatey the,
Yeh un dino ki baat hey,
Jab hum pagal pagal phirtey the.
Yeh un dino ki baat hey,
Jab hum pagal pagal phirtey the.
Ek duje pe martety the,
Hum pyar ki baaten karten the,
Khabo me khoye rehtey the,
Baho me soye rehtey the
Hum ashiq the deewane the
Is duniya se beghane tha
Yeh un dino ki baat hey,
Jiab hum pagal pagal phirtey the.
Yeh un dino ki baat hey,
Jiab hum pagal pagal phirtey the..
Phirtey the phirtey the.
¸.·´¨) ¸.·*¨)
(¸.·´ (¸.·´ .·´
(´¸.·*yours forever.·*·.¸.´¯`>...........
Zindgi se hamne kabhi kucch chaha hi nahin
Chaha jise bhi kabhi paya hi nahin
Jise paya use kucch yun kho diya
Jaise zindgi me kabhi koi aaya hi nahin
Suraj Ne Dhalte Huye : Hindi Shayari :
*Teri talaash me nikle the hum haath malte huye
Rula diya aaj humein suraj ne dhalte huye*
*Zamana guzar gaya seene me dard palte huye
Kisi ghata se kaho hum ko ab utha le jaaye*
*Ke umar beet gayee hum ko jalte huye
Yahan to kuch bhi nahin hai siwaye kaanton ke*
*Kahan tak aa gaye hum is raaste par chalte huye
Sikha rahi hai zamane ko zindagi ka chalan
Guzarti hai rail deewane patrian badalte huye*
Jab Koi Baat Kerta Hon : Shayari :
Jab Koi Baat Kerta Hon Tera Khayal Aata Hai
Jab Kuch Sochnay Lagta Hon Tera Khayal Ata hai
Meri Aankhon Meri Nazar Main Tum Aisay samaye Ho
Jab Kuch Dekhnay Lagta Hon Tera Khayal Ata Hai
Koi Bhi Kaam Mujh Say Ab Tou Kia Nahi Jata
Jab Kuch Kernay Lagta Hon Tera khayal Ata Hai
Main Sari Raat Tujhay Sochtay Bita Deta Hon
Main Jab Bhi Sonay Lagta Hon Tera Khayal Ata Hai
Kabhi Jab Hansi Ati Hai Tou Dil Ronay Lagta Hai
Main Jab Bhi Hasnay Lagta Hon Tera khayal Ata hai
Main Pal Pal Merta Rehta Hon Nahi Ab Jia Jata
Main jab Bhi Jeenay Lagta Hon Tera Khayal Ata hai
Mohabaat mein ibadaat ki thi uski...
Mohabaat mein ibadaat ki thi uski
hooton par naam uska, dil mein tasveer thi uski
par mohabaat k badle mein humein mohabaat nahi mili
jiss mehfil mein khade khade lut gaye,
wo mehfil thi uski........
^^^^^^^^^^^^^^^^^
Wah Tera Kya Kahna
Kisi ko kisi ke isharon ne loota,
Kisi ko kashti ke kinaro ne loota.
Aap to darte ho kasam khane se,
Hame to aapki kasam dekar hazaro ne loota.
Zakham gahre the izhaar kya karte,
Khud hi nishana ban gaye war kya karte.
Mar gaye magar khuli rahi aankhen,
Isse jyada kisi ka intzaar kya karte.
Wafa ke naam se woh anjaan the,
Kisi ki bewafai se shayad preshan the.
Humne wafa deni chahi to pata chala,
Hum khud bewafa ke naam se badnaam the.
Saturday, November 8, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment